Wednesday, July 20, 2011
Tuesday, July 19, 2011
Qaseeda-e-Mola Ali (Alahy Salam) written by Hazrat Baba Zaheen Shah Sarkar from a book of "Lammaty Jamal"
Qaseeda-e-Mola-e-Kainat Hazrat Ali (Aleh Salam) written by Hazrat Baba Zaheen Shah Taji Sarkar from a book of "Lammaty Jamal"
Qaseeda-e-Ali (Alahy Salam)
.. Ali Azeem, Mouzzam Ali, Ali Azam
.. Ali Kareem, Mukarram Ali, Ali Akram
.. Ali Mukeem, Ali Qayam-wa-Ali Akwam
.. Ali Raheem, Ali Rahim-wa-Ali Arham
.. Ali Hakeem, Ali Hakim-wa-Ali Ahkam
.. Ali Qaseem, Ali Qasim-wa-Ali Aqsam
.. Ali Hareem, Moharram Ali, Ali Mahram
.. Ali Kadeem, Mukaddam Ali, Ali Akdam
.. Ali Wilao, Tolao, Walio Wala
.. Ali Wali, Mutawalli-e-Astan-e-Haram
.. Ali Ula-wa-Ali Aali-wa-Ali Aala
.. Ali Haqeekat-e-Alam, Haqeekat-e-Adam
.. Ali Wasi-o-Ali Mosi-wa-Ali Mosa
.. Ali Kamal-e-Hodoos-wa-Ali Kamal-e-Qadam
.. Ali Say Arsh-e-Ula K Maratib-e-Uliya
.. Dil-wa-Zuban-e-Ali Say Murad Loh-wa-Qalam
.. Ali Tahiyat-e-Amwaj-e-Kosar-wa-Tasneem
.. Ali Sajood-e-Zalal-wa-Salam-e-Noor Atam
.. Ali Tarannum-e-Anhar, Jannat-ul-Mawa
.. Ali Taran-e-Tasleem-wa-Nagma-e-Zamzam
Zaheen-ul-Aolia, Zaheen-ul-Millat Wa-Ddeen, Hazrat Shaikh-ul-Kabeer, Khowaja Jalaluddin, Peer Mohammad Touseen Shah Baba Zaheen Shah Taji (Rehmatullah Aleh)
Hazrat Baba Zaheen Shah Sarkar (Rehmatullah Aleh) Aap Hazrat Sultan-ul-Arifeen Hazart Baba Yousuf Shah Taji (Rehmatullah Aleh) (Almaroof Baba Kareem) k Sajjada Nasheen hain. Aap ka Ism-e-Mubarak Hazrat Tuaseen Shah Hai. “Zaheen” aap k Walid-e-Majid Hazrat Deedar Bukhsh Shah
Nagori Rehmatullah Aleh) nay aap ka takhallus enayat farmaya. Jab Aap 7 Sal Kay Thay Aap Nay Naatain Likhna Shoro Ki. Aap farmatay Hain Kay Meray Walid-E-Majid Mujhay Baba Tajuddin Sarkar K Pass Lay Gay Or Mujhay Baba Tajuddin Sarkar Say Bachpan Main Hi Mulakat Kar Sharf Hasil Ho Gaya Tha.
Khanqah-e-Tajia, Mewashah, Karachi, Pakistan main aap jalwa farma rahay aap ka Wisal-e-Mubarak 16 Shaban (1978) main howa aap ka Roza-e-Akdas Markaz-e-Tajalliyat Khanqah-e-Alia Tajia, Mewashah, Karachi, Pakistan main hai.
Aap nay bohat si kitabin likhi hain or aap k 5 dewan hain 4 urdo main or 1 farsi main jin main say "AAYAT-E-JAMAL" bohat mashhoor hai or "Lammat-e-Jamal", "Jamalistan", "Ajmal-e-Jamal" or "Jamal-e-Ayat" k naam say mojood hain.
Facebook Page of Hazrat Syedna Baba Zaheen Shah Taji
Subscribe to:
Posts (Atom)